Tags-Bahaar

sab mai-kade vīrāñ haiñ sunsān gulistāñ haiñ
kahne ko ghaTā chhā.ī kahne ko bahār aa.ī
Ghazal
hain ahl-e-chaman hairan ye kaisi bahaar aai
haiñ ahl-e-chaman hairāñ ye kaisī bahār aa.ī
haiñ phuul khile lekin hai rañg na ra.anā.ī
Ghazal
hain ahl-e-chaman hairan ye kaisi bahaar aai
shab khulī thī bahār kī sūrat
din sitāroñ sā jagmagāyā thā
Ghazal
koi jab mil ke muskuraya tha
sunā hai in dinoñ ham-rañg haiñ bahār aur aag
ye aag phuul ho maiñ ne bahut duā kī thī
Ghazal
wo kyun na ruThta maine bhi to KHata ki thi
sach kahā zāhid ye tū ne zahr-e-qātil hai sharāb
ham bhī kahte the yahī jab tak bahār aa.ī na thī
Sher
sach kaha zahid ye tu ne zahr-e-qatil hai sharab
un kī bahār-e-husn se aalam hī aur thā
thī chāndnī bhī kitnī suhānī tamām raat
Ghazal
wo garm aansuon ki rawani tamam raat
TuuT kar aa.ī hai us gul par bahār
jism lau dene lagā qad khul gayā
Ghazal
jab tilism-e-qufl-e-abjad khul gaya
'bebāk' ruḳh pe chhāne lage haiñ ḳhizāñ ke rañg
go hāsil-e-bahār to tū bhī hai maiñ bhī huuñ
Ghazal
furqat se ham-kanar to tu bhi hai main bhi hun
kalī pe rañg guloñ par nikhār bhī to nahīñ
bahār ḳhaak umīd-e-bahār bhī to nahīñ
Ghazal
kali pe rang gulon par nikhaar bhi to nahin
use zikr-e-bahār-o-bāġh se kyā
qafas ko jo samajhtā ho ki ghar hai
Ghazal
yahi ek mashghala sham-o-sahar hai
dekhī kaifiyyat-e-bahār-o-ḳhizāñ
maiñ do-rañgī se āshnā na huā
Ghazal
dagh baiana husn ka na hua
dāġh-e-saudā ek din degā bahār
fasl is gul kī shagūfa lā.egī
Ghazal
jab na jite-ji mere kaam aaegi
had-bandī-e-ḳhizāñ se hisār-e-bahār tak
jaañ raqs kar sake to koī fāsla nahīñ
Sher
had-bandi-e-KHizan se hisar-e-bahaar tak
chaman pe jhuum rahā hai siyāh mastī meñ
ajab bahār hai barsā.e jo sahāb sharāb
Ghazal
baghair yar gawara nahin kabab sharab
chale bahār ke ayyām sāqī-e-gul-rū
mirā shabāb hai mehmān lā shitāb sharāb
Ghazal
baghair yar gawara nahin kabab sharab
vo un kī sair-e-bāġh vo zauq-e-bahār-e-nāz
phuul aap TuuT TuuT ke dāmāñ meñ aa ga.e
Ghazal
jate kahan junun ke tufan mein aa gae
mat ho bahār-e-gulshan-e-duniyā kā andalīb
is phūlban meñ bū-e-rifāqat nahīñ rahī
Ghazal
aalam ke doston mein murawwat nahin rahi
naaz ho jis ko bahār-e-misr-o-shām-o-rūm par
sar-zamīn-e-hind meñ dekhe fazā barsāt kī
Nazm
barsat
nikle bahār oḌh ke kuchh ḳhushnumā badan
ḳhushbū bhī ham-safar hai qabāoñ ke saath saath
Ghazal
koshish zara si ki jo duaon ke sath sath
huā ashk-e-gulgūñ bahār-e-garebāñ
ba-rañgrag-e-gul hai tār-e-garebāñ
Ghazal
hua ashk-e-gulgun bahaar-e-gareban

Top Urdushayar.com